Mulakat
By Ankit Chaudhari
Har ek pal behta ye sama,
aaj se bhi fisal hi jayega.
kal ki baate kuch aur thi,
aaj ka ye suraj bhi dhal hi jayega.
Main jo main hoon,
yaha hu khada akela,
teri chaht ki wajood se hai bandha,
na jane konse kal ka wo sawera.
Is dil ne anjane me dekha,
paraye jasbaton se dohoraya,
khudgarzi se lapta,
tera hi to wo saya hai,
muskan me teri dhundata,
apna sa hi wo dabaya chehra hai.
Bas aaj ka hi hai sahara,
ek-ek kar phir se aaj,
samit lo mere sare jasbaat,
ruka lo sab kar ek do pal ka intzaar,
na jane phir se kaha milna ho,
kal me ab aisa kab jina ho.
By Ankit Chaudhari

Comments