- hashtagkalakar
Meri Baat Hogi
By Pakshal Jain
Ek sath chale gaye toh kya baat hogi! (2)
Warna kal tum toh rahogi aur meri sirf baat hogi;
Issliye iss aaj ko jee bharke jee lena chahata hu,
Tumhe iss saache dil se ek baat batana chahta hu,
Kalse leke aaj tak meh tum me khoya tha,
Aur kal bhi meh tum meh khona chahata hu.
Ek sath chale gaye toh kya baat hogi! (2)
Warna kal tum na sahi tumhari yaadein mere sath hogi;
Hath pakad kar fir ek baar dil se lagana chata hu,
Kiske liye yeh dhadakta hai, iss dil ko batana chahata hu;
Tumhare kandhe pe sir rakh ke, jee bharke rona chata hu,
Khudko sabse durr kar tumse ek hona chahata hu,
Ek sath chale gaye toh kya baat hogi! (2)
Warna kal meh na sahi, meri yeh kavita tumhare pass hogi;
"Chinta na karo jab bhi aakhe band karogi tum mere pass hogi"
By Pakshal Jain