Mera Javan.
By Shrutika Jankar
Jis hawa mein teri saanse ho vo hawa pavitra,
Aur jis nadi mein tera khoon ho vo paani Amrut mein badal jata hai.
Ha, mera javaan hamesha ladta rehta hai!
Inhe toh sirf rangon se khelna aata hai,
Aur tujhe sirf khoon se khelna bahta hai.
Ha, mera javaan hamesha ladta rehta hai!
Inhe kya pata saccha pyar kya hota hai?
Sirf tu hi hai jo Valentine’s day ke din pulwama mein apni jaan kurban karne ki
himmat rakhta hai,
Najaane jaate jaate pyar ka izhaar sikhata hai.
Ha, mera javaan hamesha ladta rehta hai!
Inhe kya pata ki agar mai teri ruh ka ek tukda bhi neelami par daalu toh uske
samne Kohinoor bhi fika padta hai.
Ha, mera javaan hamesha ladta rehta hai!
Saubhagya uss Tirange ka jo tujhe aakhri bar lapet leta hai,
aur saubhagya un dono maaon ka jisse tu janm leta hai aur jispe apni,
jaan kurban kar deta hai.
Ha, mera javaan hamesha ladta rehta hai!
Pachahattar(75) saal baad, aaj bhi vo(tiranga) badi shaan se fadkata hai,
Vajah yahi hai uski ki mera jawan hamesha ladta rahata hai, hamesha ladta
rahata hai!
By Shrutika Jankar

Comments