Maya Manch
Updated: Sep 16, 2025
By Rishabh Kandari
kuch khwaab hain adhoore mere,
jinhey poora karna chahta hoon,
in andheron se ladkar,
ek savera karna chahta hoon.
Kuch hoon bhi abhi, kuch ban jana chahta hun,
Kuch yunhi mila hai, kuch khud kamana chahta hun.
Agyaat hun jin cheezon se,
unsey rishta banana chahta hoon,
aur jo gyaan hai mera saga apna,
usey sab tak pahuchana chahta hoon.
samaj ke neeyamon me, mera dum ghutne lagta hai,
mai apne neeyam khud banana chahta hun
ye thode-se me ulajhna nahi mujhe,
main kuch bada kar jana chahta hun
aur suna hai chaand se hokar ek sadak jati hai,
mai kisi din wahan apna ghar banana chahta hun.
mai khud ko sirf ye sach samjhana chahta hoon,
ki ye sansaar ek maya-manch hai,
aur main yahanka mukhya kirdaar ban jana chahta hun.
By Rishabh Kandari

Comments