Masoom Dil
- Hashtag Kalakar
- Sep 5, 2023
- 2 min read
Updated: Aug 21
By Naman Kumar
Ik masoom dil tha mera
sharam ka tha ankho mein pehra
Darta tha zindagi sai
Lagta tha ya jha na mera
Harpal thi hoti kami
mai jo na bata ska kabhi
Us pal sa is pal ma
La aaya main badlav tabhi
Ab to aye ga maza
kamiyon ki thi jo saja
Unha hi banuga mai
Is duniyan ma chana ki wajah
Har aur hoga naam
Aisa
kuch alag karuga wo kaam waisa
Kaise jiyu sabse alag
Har pal puchu rab se main sawal aisa
Mann mai utha phir khayal vaisa
karta har kaam bhagwan hai beta
Likha ho teri
Taqdeer jaisa
Tu yakeen us pa rakh kai chal
bindaas jeeta
Nasha rakh kaam ka
jo chadta na peeka jaam sa
Alag khaab bunke dimaag mai
Hakikat bna usse naam da
Asli banke naklipan ka smaaj mai
Tu chadta ja uchaiyo ka padav pa
Paar kar wo aasman
dekha jahan se zameen ka saaf raasta
Samundar ki lehro sa
khud ko tu azma
Thokar jo hai khatey nikhar ka wohi ubhar patay
asli matlab yhi Jeena ka
Na koi kori batey
Bhaagti is duniya mai
Thaam ke tej chalti saansein
puch khud sai
Log paida hotey kya sirf ik din marna kai vaastey
Bhagwan unhey insaan banay kya haar baar ye
Chance hai
Chosanth(64) laakh yoniyon kai baad milta jo jeevan vo insaan hona
Apne aap mai ik badi baat hai
Phir kyu
Jeeta yha insaan nhi
Balki murda lashai
raah dhoonda na asli apna koi Vaastey
bhed chaal lagake
Ik doosra kay zaneja pa hai nachtay
nicha dikha kar
Doosra ko kam hamesha log aanktey
Mooh pa tarif aur peeth pichay karta neech baatey
Dosti kay naam pa saanp banke
Sapera ki been pa
Hai Nachtay
Kudrat ka niyam
Ko na yeh pehchaan tay
By Naman Kumar

Comments