Mana Ki Tumhara Yun Ruthna Jayaz H
Updated: Jul 18, 2025
By Piyush Singh
Mana ki tumhara yun ruthna jayaz h,
Magar mera kasoor batao to sahi !
Mere tumhare beech ye faasley kyu h,
Zara kareeb aao to sahi !
Ki bohot samay hua tumhari god me sar rakhey .
Zara mere baal sehrao to sahi !
Mai puri Jaan Laga dunga khudko badalne me,
Tum mujhe meri kamiyan btao to sahi !
By Piyush Singh

Comments