Main Ek Fankaar Hoon
Updated: Jan 12, 2023
By Siddharth Bhoot
Mehfil-e-shab se kya khauf jab haath mein kalam hain mere,
Main uss shams ko pukar ek nayi seher jagaunga,
Tareeq mein makhfi main ek asraar hoon,
Haan, main ek fankaar hoon...
Uss mahtab ki justajoo mein to kai deewane gum hain,
Lekin maine to tujhiko inn panno mein taraash diya,
Dili tasavvur ko haqeeqat se jode main hi vo iqrar hoon,
Haan, main ek fankaar hoon...
Behroopiya nahi kehlata koi libaas badalne se,
Gumraah karne ke liye ek aiyaar hona bhi zaroori hain,
Jiss kisiko odhlu main fir usi ka kirdaar hoon,
Haan, main ek fankaar hoon...
Bezaar zindagi mein bhi rang bharna seekha hain maine,
Mera pyaala khaali sahi lekin tera jaam se labrez kar doonga,
Tere nasheele khwaabon ke sar chadhe main vahi khumaar hoon,
Haan, main ek fankaar hoon...
Apna haal bhi kabhi iss nacheez ke aage aitraaf kar,
Tere dil ke kirmich par ye hunar bhi zara naqsh doonga,
Teri kaifiyat tay karne wala main tera hi gulabi rukhsaar hoon,
Haan, main ek fankaar hoon...
Meri zeest se hi yun haseen hain zeest teri,
Bekhabar hain tu ke tere har khayal par taaseer hain mera,
Laakh inqar kar lekin teri nas nas mein main shumaar hoon,
Haan, main ek fankaar hoon...
Mujhse nahi meri karigari se ishq hain iss aawam ko,
Lekin ishq mein doobe aashiq bhi to iss karigar hi ko yaad karte hain,
Khud ishq bhi bayaan kare jise main vo pyaar ka izhaar hoon,
Haan, main ek fankaar hoon...
Iss jahaan ko alvida keh jau main to khata naa karna,
Mere fan ka raqs iss jahaan ko musalsal mehkayega,
Bekhayali ko bhi khayal ho jiska main hi vo intezaar hoon,
Haan, main ek fankaar hoon...!!!
By Siddharth Bhoot

Comments