By Priya
M mahabharat ka yudhh hun
m apne hone ki wazahon k virudhh hun kuch kahte hn m Dhratrashtra ki
mahatvkanshaon ka parinaam hun
uske putramoh,uski rajgaddi,uski shashan ki chah ka galat arman hun
kuch kahte hn m Duryodhan k ahankar ka anjaam hun
Pandavon se uski jalan,uske laalchi,ghamandi,uske ziddi hone ki
pahchan hun
kuch logon ko lagta h m Draupadi ka dridh vishwash hun
uske cheer haran,uske apman,uske badle ka aaghaz hun
kuch budhhijeevi mante hn ye sab Shakuni ki chal thi
Duryodhan ko rajgaddi dilana to uske galat iradon ki dhal thi
kuch Narayan premiyon ko lagta h Krishna chahte to yudhh ruk skta tha
sandhiyon,smjhauton,smjhane se itihas ka rukh mud skta tha
par
na m kisi ki mahatvakanshaon ka parinam
hun
na m kisi k swabhav ki pahchan hun na m nari ka apman hun
na m Shakuni k pason ka kamaal hun haan mana Krishna chahte to yudhh nhi hota
na lakshagrah,na chher haran,bhai bhai k virudhh nhi hota
par mere hone ka mukhya karan veeron ka rahna maun tha
cheer haran k samay adharmiyon k virudhh
aawaz uthane wala wahan kon tha
Bhishm Pitamah, Dronacharya,kripacharya b chup rhe
sare pandavon k sar b haar k karan jhuke rhe
ye maryadayen, paramprayen, vachan or nishthayen
inko hi sath lekar umar bhar kyun na jee
paye
kya zrurat thi ab kaurvon se yudhh krne ki Dusshashan ki chhati k lahoo se Draupadi k kesh sudhh krne ki
jab gulam the to gulamon k sath malik ksa b salook kr skta h
rajya bhai stree to gulam to jaan b hazir kr skta h
tab kyun nhi Pandavon ne Krishna k khilaf aawaz uthai thi
maryadayen todkar Draupadi ki laaj bachai
thi
ki yudhh ko na chahne wale uss samay kyun maun rhe
Bhushma pitamah,Vidur b chup the chup hi Acharya Dron rhe
sirf pratigyaon or dharm ko lekar baith jana
hi dharm nhi
karne k samay jo na kiya wo na kiya to karm
nhi
in chuppiyon or pratigyaon ko ek din to bhugtna hi tha
har jagah faile anyay ko ek din to simtna hi tha
khoon ki pyasi to pahle se hi kurukshetra ki
bhoomi thi
das sau hazaar to kya wahan lakhon ki jalni
dhooni thi
tathakathit dharm ki Aag me panchon
pandav jalte rhe
maun rhne wale Bhishm, Dron,kripacharya
marte rhe
jab tak balwan isi tarah adharmiyon ka
adharm sah lenge
tab tak Duryodhan Dusshashan Shakuni jse
duniya me rah lenge
galat ko na rokne walon par hmehsa se hi
lanat hogi
jab tk sahi samay par aawaz na uthegi har
yug me Mahabharat hogi
Har yug me Mahabhart hogi.
By Priya
Opmerkingen