Lagne Laga Tha....
Updated: Dec 5, 2022
By Mariya Afreen
Lagne Laga tha ke zindagi sambhal rahi hai,
Par zindagi ko hum kahan pasand the,
Lagne laga tha khushion ne raasta dhundliya,
Par Gham humein chodne waale kahan the,
Lagne laga tha ke milgaya jeene ka tareeqa,
Par kamzor fitrat se jeena kahan aasaan tha,
Hawa ke jhonke bahot aaye aur saath legaye,
Par qismat ne aisa saath na choda tha,
Yun toh har lamha tae tha, na koi ummeed thi, na aisa kuch dil laga tha,
Phir kyun itna dard, kuch na hone par bhi horaha tha,
Lagne laga tha ke kisi kasar ab is zindagi pe na hoga,
Par kise pata tha ke sukoon ab is zindagi me kahin na tha….
By Mariya Afreen

Comments