Ladki Mai
By Aditi Pareek
Ghar ka beta kehte the mujhko, per thi to aakhir beti mai
Chahe jitna aage badh gyi mai, per kehlai bs ladki mai
Janm diya ek Maa ne mujhko, per naam likha sirf baap ka
Jana tha naani-daadi se sb kuch, per pehchani gyi kisi aur ki poti mai
Andar bahr har jang ladi bakhubi maine, firbhi logon ko na bhaai mai
Khudko samajh baithi thi mai sabki himmat, per thi to sabki kamjori mai
Na maan na sammaan mila, na pyaar na adhikar mila
Har baat se thi vanchit mai, akhir thi to bs ek ladki mai
Na haari mai na jhuki mai, Baandh apni himmat ko ladi mai
Fir bol uthi hu is jag se mai, Dil khol chuki hu sabse mai
Garv he to hai is baat ka, ki hu to Aakhir Ladki Mai
By Aditi Pareek

Comments