Kya Me Tumhare Layak Ban Pata Hu
- Hashtag Kalakar
- May 9, 2023
- 1 min read
By Dev Rawal
Tumhari yaado me ese hi kuch shabd likh jaata hu,
Padhkar batana kya me tumhare layak ban pata hu.
Sirf tumhari zulpho ko dekhkar me pighal jaata
tumhari aakho ko dekhkar to me ghayal ho jata hu
Tumhe dekhte hi me yoohi nahi haklata hu
Tum mujhe kitni pasand ho ye me kabhi nahi batlata hu
Tumhari har chunauti ko apna samajhkar
me khud usse takrata hu
aur tumhari har khushi me tumse zyada me muskurata hu
Hamesha tumhe dekhkar apne pankh fafadata hu,
Ek baar puchke to dekho, tumhe apni baaho me hu basa kar pure sansaar ki ser karvata hu
Tumhare isi andaaz pe me jaan gavata hu
Kabhi dil se soch kar dekhna, kya tumhare layak ban pata hu .
By Dev Rawal

Comments