Kya Itna Aasan Hai Ek Ladka Hona
By Aakriti Jain
Khul kar apne aansu nahi dikhata
Har pareshani me mazboot ban kar hai rahta
Sabse hamesha yahi sunn kar chup ho jaata
“ Band kar ladkiyon ki tarah rona dhona”
Kya itna aasan hai ek ladka hona
Zimmedari ke chalte apne sapno ko chodh deta hai
Duniya ki nazar me uthne ke liye din raat mehnat karta hai
“Beta to bilkul nakara hai” ke taane se darta hai
Bhool jaata hai din ka chain or raat ka sona
Kya itna aasan hai ek ladka hona
Ladki par haath uthata hai to badtameez bola jaata hai
Ladki agar haath uthaye to namard bola jaata hai
Lekin wajah koi nhi chahta sunna
Kya itna aasan hai ek ladka hona
By Aakriti Jain

Comments