Kya Hai Dum
Updated: Sep 16, 2025
By Virat Mehta
Kya hai dum aap mein,
Ek choti gali mein bhaunkte kutton ke beech se guzar jaane ka
Shaan se eilaan karke apna wazan batane ka
Bin awaaz ke paad ke apna haath uthane ka
Kya hai dum aap mein ek bhadde bhakari ko apne paas bithane ka
Apne door ke rishtedaaron ko saaf shabdon mein ye kehne ka
Ki Zindagi meri hai, jeena mujhe hai, bas ab bahut ho gaya
Ya apne maa baap ko ye batane ka ki wo kitne khaas hain
Ya ye kehne ka ki mummy mera tiffin kho gaya
Kya ye dum is tez jeevan mein dheeme chalne ka
Ya auron ki uplabdhiyon se, unchaiyon se nahi jalne ka
Kisi zaruratmand dost ko udhaar dene ka
Kisi ko bina shart, bewajah pyaar dene ka
Kya hai dum kisi anjaan ladki se shudh hindi mein vartalaap karne ka
Ya ek badi si lambi pankti mein, beintehaan bheed mein, pehle aap kehne ka
Aapki ore Kisi ek tak ghoorte hue ladke ko zor se thappad lagane ka
Ya kisi madadgaar bhale ladke ko dekh kar muskurane ka
Kya hai dum kisi ladki se ye kehne ka ki tum bahut khoobsurat ho
Ya kisi kanjoos dost se ye kehne ka ki mere paise wapas do.
Kya hai dum apna unlocked smartphone laparwahi se apne dost ko dene ka,
Ya kisi ki anjaane mein ki hui galti ko apne sar le lene ka
Ya ye maanne ka ki kahin na kahin sabhi beimaan hain, duniya bhrasht hai,
Lekin us duniya ke hum bhi hissedaar hain, yahi suvidha hai, yahi kasht hai
Kya hai dum akhbaar ke pannon ko palatle hue apna khoon khoulane ka,
Aur uske thande hone ke pehle, apne aas paas badlaav lane ka.
Ya kisi behes mein khud ko galat jaanne pe maafi maangne ka,
Ya zindagi ke khoote pe beizzati ke kuch palon ko taangne ka
Kya hai dum apne se neechon pe na chadhke, unko upar laane ka,
Aur apne se upar waalon ke liye sachhe dil se taali bajaane ka
Kya hai dum apne poore mann se gair mazhabi tyohaar manane ka
Diwali pe Faraz ko aur Eid to Prakash ko ghar bhulane ka
Main koi balshaali nahi, vidwaan nahi, mujhmein jo hai shayad aapse kam hai
Magar yadi upar likhi kuch cheezen aapne ki hain to aap mein wakai dum hai
To doston jaag utho aur poocho khud se, kya hai dum aapmein muskurane ka,
Aur insaanon ki is duniya mein, insaan ko fir se insaan banane ka.
Kya hai dum doston cash deke khaana khaane ka
Aur taali na sahi.. kam se kam ek aadhi chutki bajane ka
By Virat Mehta

Comments