top of page

Kuch Toh Log Kahenge

Updated: Jul 30

By Jal Naik


Bhul gaye humein, ya yaad nahi? Bade ho gaye ho, ya yaad hai abhi? Time nahi milta, ya nikalna hai nahi? Acha, busy ho! Padhai kar rahe ho? Social life se cut-off le rahe ho? Boards mei marks kitne aaye? bataoge bhi ya woh bhi raaz rakhna chahte ho?

In sab ko baatein kahu ya taane, magar sunne pad rahe the use, Sab sun kar bhi ansuna karna pad rha tha..

Zindagi berang ho chuki thi,khwaabon mei the saath rang, Kehna chahti hai voh sabse, CHHUPP ho jao, Bandh karo yeh tumhara badsurapan...

Maa – baap ke sapno ka ek hissa hai voh, unke sapno ko udaan dena uska kartavya hai, Ladka aur ladki mein koi fark nahi hai, Kuch ban ke unhe dkhana hai..

Zindagi se pareshaan, suicide karneka mann hai, Apna anth karu toh, shuruat kaun hai? Dosto se dur rehna chahti hai vo, magar, Unka hakkh voh chhinn nahi sakti hai,

Iss duniya mein hai bohot saare pehlu, Kuch akele aur kuch apno ke saath suljhau... Bheedh lag jaati hai khayalo ki, Bas apne unhe suljha paate hai, Iss duniya se bekhabhar hoke bhi, Kandhe se kandha milakar chalna sikhate hai..

'Log kya kahenge' yeh sochkar piche nahi hatna hai, Kucch bhi karlo, Log bina kahe na rukhenge.. Bas yeh sochkar aage badhna hai.

By Jal Naik



Recent Posts

See All
Mirrored Truth

By Rufaida Manzoor I stood beside the silent lake, With eyes that felt no urge to break. My hair fell low in shadows deep, The waters...

 
 
 
My Antidote

By Anveeksha Reddy You fill my books with your ink, seeping into the pages bright and brilliant  The words etched into the cracks of it,...

 
 
 
Avarice

By Anveeksha Reddy You tear my skin and pick on my bones    I label it as gluttony for you  Churning and shattering the remains of my...

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page