Kirdaar
Updated: Aug 28, 2025
By Pooja Patel
Nahin banna mujhe hissa kisi or ki kahani ka,
Me apni kahani khud likhungi.
Nahin bayan Krna mujhe koi gam,
Me apne hi khayalon me khoyi rahungi.
Nahin karna mujhe aitbaar kisi par,
Me apne liye khud ladungi.
Nahin chahiye mujhe zindagi,
Me to jeena chahti hun,
Aham kirdaar hun me apni kahani kaa,
Jajbaaton me na sahi,
Par apni kitaab ka har panna,
Ehsaason me likhungi.
By Pooja Patel

Comments