By Priya
ki bahut jaruri hai Khud Ko Khali Rakhna dimag ko Gair-Jaruri Khayalon Se bachakar Khud Ko bekhayali Rakhna
per Khud Ko Khali Rakha Kaise Jaaye dimag ko bekhayali Rakha Kaise jaaye ki jo Sach Hai use acchi Tarah Se jaankar Ke Khud Ko jabran Samjha kar Nahin,Dil Se usey man Karke
ki Jindagi se Jaane Walon Ko Dil se jaane dekar ke
Jindagi Mein Aane Walon Ko Dil mein aane dekar ke
Jin Baton ka Dukh Aaj Bhi Hai Un per Jee Bhar Kar Ro Lene se
jo Hasil karna chahte ho uska Beej Bo Dene Se
Ki Jaise Gandi Keechad Mein Koi Saaf Kamal
rahata Hai
Keechad mein hi rahata hai per Keechad Se Alag rahta hai
wse hi Har Rishte,Har Naate Se Koi ummid
Rakhna Chhod Do
Bahti Nadi Mein Hath dhona aur jaldi Aanch per hath sekana Chhod Do
ki Sabki Apni Jindagi hai isliye tum bhi apni Jindagi se matlab rakho
Haqeeqat ko Samjho,Hakikat Mein Jiyo,Khud Ko Na Kisi Ko gaflat Mein rakho
Ki Har Koi Jaanta hai Khali Hath Jana Hai
Na Kuchh sath Lekar Aaye They na Kuchh
Sath Le Jana Hai
per ye Baat ab Itni common Hai Ki Sab Bhul hi jaate Hain
Jindagi Hamen Jhula jhulati hai aur aakhir me hm jhul hi Jaate Hain
ki kaun si Daulat,kaun si Nafrat,kaun se
Rishtey Sath Le jaaoge
ki Kuch purane Karam Sath laye They Kuch
naye Sanskar Sath le jaaoge
par iss aane aur jaane se chhutne ke liye
Purana hisab chukta karna hoga
Na Kisi Se Jyada Lagav,Na hi Kisi Se Badle Ki
Bhawna ko Rakhna hoga
ki Khud Ke Liye faislon per Khud Ko kosna chhodna Hoga
sari galtiyon ka theekra Khud per hi fodana
chhodna hoga
Ki Har Faisla,Har Farman uss Waqt ki hi
jarurat Thi
Jab Jaan jaaoge to Man jaaoge ki vo bhi
Khuda Ki hi mohlat thi
Ki Jo Ho Gaya so Ho Gaya ab beetey Waqt se
bahar nikalo
Aaj Ka Suraj Dekho, aaj ke Hawa Mein Jiyo,
aaj ki dhoop mein Sikalo
Ki Aane Wale Waqt Ka kahan Kisi Ko Kuchh Pata hota hai
Hamare Hath pair Marne Se Bhi Jyada Kuchh Nahin Badalta Sab Kuchh Pahle Se taysuda
Hota Hai
to aaj main rahakar, aaj me jeekar, Aaj ko hi to
Safal banana hai
apni khoobiyon Aur khamiyon Ke Sath
Hamen Khud Ko hi to apnana hai
Ki upar wala kisi ko bhi Banakar Kabhi Bhul
Nahin Jata Hai
Uske Ghar Der Se Hi Sahi per Savera Jarur
Aata Hai
Hamen use Savere ki Roshani ke liye Khud Ko
taiyar karna hoga
Uski rahamate pane ke liye Khud Ko
Hoshiyar karna hoga
Na Kisi Gum Mein Rote Rahana Hoga,Na Kisi
Khushi Mein bahakate Rahana hoga bus upar wale ke Sajde Mein Khud Ko
Mahakte Dena hoga
Apne dimag ko sare Jaruri,Gair-Jaruri khyalon Se hatakar Khud Ko bekhayali
Rakhna hoga
bus isi Tarah Se Hi To Hamen Khud Ko Khali
Rakhna hoga
sirf thodi-si hi koshishon se hme Khud Ko
Khali Rakhna hoga.
By Priya
Very nice...a good spritual poem...