Khilone Wala
By Tanuj Sagail
Wo khud chota sa bachha hai, mitti ke khilone bechta hai,
Bhookha lachaar gareebi mei, mitti mei roti khojta hai..
Ghar ghar ja awaaz lagata, bade logo se yaachna karta hai,
Koi uska khilona khareed le, baar baar yehi praathna karta hai..
Maa ne uski potli mei roti aur pyaaz baandha hai,
Saath mei zimmedari bhi bandhi, munshi ne jo byaaz maanga hai..
Woh chota sa bachha bachpan apna kho gaya,
Khilone bechte bechte jaane kyu wo ro diya..
Shayad usko pata hai, jo khilona agar nahi bikega,
Aaj raat uske ghar ka choolha bhi nahi jalega..
Maasoom ke kandhe par hai bojh kismat ne daala,
Byaaz chukaaye, paisa kamanaye, ya roti ka khaaye niwaala..
Agar bachhe ke sar par baap ka saaya hota,
To ye bhi khilone se khelta, khaali paet na bhookha sota..
Wo chota sa bacha, bachpan jiska kho gaya
Khilone bechte bechte, wo rote rote so gaya
By Tanuj Sagail

Comments