Khilona
Updated: Dec 2, 2022
By Kalp Raichura
Woh jism ki baatein karta tha,
Main rooh ka sauda kar bethi
Woh qaatil jismfarosh tha,
Mujhe le doobi meri madhoshi...
Mere hoth chumke kehta tha,
"Teri aakhein badi haseen hai",
anjaan thi main chhur ishq mein,
Kya karti?
Kya karti main, pehla tha,
woh ishq mera, woh dard mera
accha lagta tha, kehta tha,
"Tu meri hai aur main hu tera"
Farebi woh, shaq mujhpe kare
ye kaisa ishq nibha bethi thi,
uss dagabaaz ke pinjre main,
ek panchi banke ja bethi thi.
Ab tutega, tab tutega
saha na jaaye,
kab tutega,
qaidi main pinjre ke andar,
taala kahan hai? Kab tutega?
Udd jau main, toh ghar jau
ghar hu toh phir, kya darr hai mujhe
darr hai mujhe woh roega,
pinjra mera,
jab tutega...
Chillaya ek din aks mera,
bola kya tu andhi hai,
kya dikhta nahi woh zaalim hai,
teri saason pe paabandi hai,
todd de,
todd de pinjra,
udd ja panchi, le le saasein azaadi ki.
todd de pinjra.
Ek din aaya maut hui,
mere dard ne jeena chhod diya
na bachi mohobbat, aakh khuli
uss bedardi ko chhod diya!
Jab dekha usne azaad mujhe,
Wahi hua, jo hona tha
uss din toh usko rona tha
par roya woh kuch iss tarah
jaise bacche ka china khilona tha.
Khilona
kuch der lagi par samjh gayi,
main uske liye khilona thi,
kuch der lagi par samjh gayi,
main uske kiye khilona thi...
By Kalp Raichura

Comments