Khayaal
By Ishika Kachhwaha
Na Dunia se Taluqaat hai,
na jahaan se koi hisaab.
Na nehro ko pehchaan hai hamari,
Na hawaon ko khayal.
Mai wo hu ja na khushbuon me hai,
Na tamannao me,
Na khwabon me,
Na duaon me.
Mera pata maine bhi khub dhunda,
Chaha jaanna pehchaano mein.
Na maikado me mera naam hai,
Na saraion me koi makaam.
Uss safar-e-manzil ko jo rasta khoya,
Na ghar raha, na wo rahguzar,
Par uske dil me jo ghul ke zeher kar gaya,
Kisi ardaas ki goonj me jo khil utha,
Suna hai kuch chahne walo se,
Shayad, wahi mera naam hai.
By Ishika Kachhwaha

Comments