By Monika
Kasey ek orat dusri ko gira skti hai
Jarurt jb saath ki ho kse sata sakti hai
Duniya se tou hum akele hi ladd jayenge
Prr jb khud orat hi mujpr sawal uthaye tou kaha jayenge
Mard ki galtiya kyun chhup jati hain
Kyu uski wajah se ijjat meri udd jati hai
Najar gandi uski,Charitra mera kyun kharab hua
Kharab iraade rkhne wala aaj fir shaan se faraar hua
Pida mane sahi hai, dard maine dekha hai
Arey mujpr sawal uthane wali, tune bhi mujpr hi tejaab feka hai
Kyun samaaj ka darr mujhe dikha rahi ho
Kyun pidit ladkiyo ko chupchap sehna sikha rahi ho
Kya lgta hai wo tumhra jiska tumhe naa dosh dikh raha
Meri apni hoke bhi mujhme hi naa hosh dikh raha
Kyun aksar orat k hi chalan pe sawal hai
Kyun koi mard ko nhin sikhata jo asli bawal hai
Kya itni si hai ijjat jo kisi haiwan se lut jati hai
Baki Pichhe bachi saanse samaj k taano se ghut jati hai
Arey samaaj ko tou main fir bhi she lungi
Pr Ek orat jo sabb jaanti hai usey kya hi keh lungi
Aas thi apno se ki himmat badhaygi
Maa ne kaha kisi ko na btana, naak katwaygi
Saas kahti hai koi ishara tou tune bhi kiya hoga
Behen kahti asey kasey koi bewjh teri orr badha hoga
Harr koi kahti aansu chhupale duniya kya kahegi
Main puchhti hun asi konsi duniya hai
Jaha orat hi orat ki naa rahegi
Uthaate raho ungli
Chup karate raho ek dusre ko
Wo mard fir bhi aage badhega
Kuchlne kisi tisri ko
Silsila yunhi chalta rhega
Hr din kisi orat ka samman marta rhega
Abb bhi wakt hai
Ek dusre ka haath thaamlo
Duniya se tou baad me ldeenge
Pahle aapas me tou jaan lo
Arey devi ho tum shakti ka maan rakho
Koi or nhi krega
Tum khud apna sammaan rakho.
By Monika
Comments