Karam
By Samarth Anand
Mujhe apne gamo ko door karna hai
Har musibat ko door karna hai
Main hamesha se pareshaan tha
Aaj har pareshaani ko door karna hai
Koi kahe dil se to jaan bhi haazir hai
Par agar koi galat kahe to mujhse bada na koi kaafir hai
Ye ghar, makaan, ful, paudhe
Sab to hain pal bhar ke waade
Kaun jaanta hai bhavishya me kya likha hai
Kaun jaane kya hoga aage
Fir bhi log kabhi idhar bhaage kabhi udhar bhaage
Hume to chain se pyar hai
Par wo kabhi milta nahin
Bohot kuch kehna chahte hain
Par kabhi kehte nahin
Ye samay ka sab khel hai
Isse koi bach pata nahin
Shama maango to bhi koi jurmana bhar pata nahin
Tumhare karmon ka hisaab Upparwala karta hai
Isse koi bach pata nahin.
By Samarth Anand

Comments