Kalyug
By Viransh Shah
“kalyug” aa gaya hai,
To paap bhi to karna padega,
Yaha buraai ka raj hai,
Achaai ka to dum hi ghutega.
Yaha chhal ka saasan hai,
Aur bal ka pradashan,
Ye kalyug hai,
Achaai ka aant aur aant ka aarambh.
Yaha hawa bhi mehangi hai,
Aur pani ki bhi kami hai,
Yaha insaan hi insaan ka vipaksh,
Aur dharmo ka dikhawa hai.
Kisi yug me bhakt ki aaradhna amar thi,
Iss yug me to bhakt hi brasht betha hai,
Ye kalyug hai,
Achaai ka aant aur aant ka aarambh hai.
Kisi yug me ram ne ravan ko maara tha,
Purushottam ne apna saamarthya dikhaya tha,
Iss yug me to ravan ki toli hai,
Usne to sita haran kiya tha,
Yaha to har koi paap ka pujari hai.
Ye satyug nahi, kalyug hai,
Yaha har kisi se har kisiko jalan hai,
Ye kalyug hai,
Achaai ka aant aur aant ka aarambh hai.
Satyug ka na ram hai,
Par ravaan sa abhimaan hai,
Ye kalyug hai,
Na hanuman sa bhakt hai, na laxman sa bhai hai.
Yaha apno ko apno k liye samay nahi hai,
Har paraye ko apna banane k liye,
Yaha bheed me insaan bhi,
Akela roya karta hai.
Satyug se kalyug tak sita ne agnee pariksha di,
Apni pavitrata k liye,
Ek baar apne andar k ravaan ka bhi to dahan kar,
Shayad iss baar purushottam se jivan daan mile,
Na karn sa mitr hai,
Na sudama jaisa yaar,
Ye kalyug hai,
Aachai ka aant aur aant ka aarambh hai.
Na madhav sa sarthi hai,
Sirf dron sa guru,
Yaha sootputra si halat hai,
Aur eklavya sa guroor.
Yaha har lanka me vibhishan hai,
Fark itna hai ki saath dene me na purushottam hai,
Yaha insaano ka balidaan hi,
Insaan ka dharma hai.
Na rog se mukt hua,
Na shok se dukh,
Na apno se khush hua,
Na apne aap se santoosht.
Ek baar iss hakikat ke aaiyene ko bhi dekh le,
Apna aap ko ram batate hue apne anadar ke ravan ko bhi dekh le,
Jhuthe dharm ka dhindhora mat pit,
Insano ki rakhsha krke ek baar bhi dekh le,
Are us ravan me bhi ram dikh jayega,
Sache man se agar har stree me sita si pavitrata dekh payega,
Na agnee pariksha uski hogi,
Na tera dahan hoga.
Har kisi me sudama dhundne k liye,
Apne aap ko bhi krishna sa bana,
Karn si mahima pane k liye,
Apna bhi ahankar ka kawach hata.
Vrna ye kalyug hai,
Yaha acchhai ka aant aur aant ka aarambh hai,
Aant ka aarambh hai...
By Viransh Shah

Comments