Kabhi Pucho
By Laksh Panwar
kabhi pucho tum
toh tumhe yeah batayengey
kitna pyaar hai tumse, shabdo mai nahi aankhon mai dikhayengey
jazbaat hamare tumhare rang jitne pak hai
tumse kahi har baat 100 taka sach jo kari humne izhaar hai
tum heera, tum moti, tumhe mana sone ka uphar hai
mulyankan karna bhaari aisa tumhara shringaar hai
tumhare galo ki lali, tumhare aankhon ke kajal
mai doob jane ka naam hi pyaar hai
kabhi pucho tum
toh batayengey tumhe
tumhe paya nahi pr khone said darte hai
hume bus tumse itna pyaar hai
By Laksh Panwar

Comments