Kaash tasveere Bol Sakti
Updated: Aug 2, 2025
By Tanuj Saigal
Kaash tasveere bol sakti aur waqt laut kar aata
Phir sab shayad itni asaani se na chin jaata
Zindagi mei phir shayad koi kami na hoti
Aankhon mei shayad yun nami na hoti
Jo bhi door hota wo phir paas aa jaata
Kaash tasveere bol sakti aur waqt laut kar aata
To sab kuch shayad aise na bikhar jata
Awaazein aur pukaarein khaali laut kar nai aati
Tum dar mei waqt kisi ka haath saath paati
Bin matlab ke koi mere bhi saath hota
Kaash tasveere bol sakti aur waqt laut kar aata
Dil kam dukhta, bharosa kam toota karta
Har imtehaan mei koi mere bhi sath hota
Kaash tasveere bol sakti aur waqt laut kar aata
Tab shayad koi bhi khud ko kabhi akela na paata
By Tanuj Saigal

Comments