Just Some This And That...
By Tahrim Fatima
Maine qareeb se, bahut qareeb se suraj dekha hai..
Yunhi nahin, vo to manzil ki jatan me jalta hai..
Maine baadalon me bss kr dekha hai..
Vo to ashq-e-bahar ko chunta hai..
Ashq-e-bahar - tears of the ocean
Maine chaand pe chal kr dekha hai..
Kabhi mukammal kabhi adhuura sa jo dikhta hai,
Sach pe parda karta, pyara sa ik dhoka hai..
Maine hawa k sang beh kr dekha hai..
Kabhi qahr, kabhi mehar si jo lagti hai,
Vo lams ishq ka lekr chalti hai..
Mehar - blessing
Lams - touch
Maine din ko dhalte dekha hai
Maine raat ko chadhte dekha hai..
Thaki thaki si subh, shaam me qraar paati h
Matruuka shb ko sehar gale lgati hai..
Matruuka - forsaken
Kisi bagh se guzri nahin main..
Phuul kb, kaise, quun..
Nai, batao mujhe, log, phuul quun kuchalte hain ?
Dosti se duur, bahut duur rahi huu main..
Btaao mujhe, dost quun bichadte hain ?
Kisi chhor tk pahunchi nahin mai..
Ye rahen kahan ko jaati hain ?
Rishte quun badalte hain ?
Vaade quun tuutte hain ?
Khusboo quun bikharti hai ?
Khamoshi kaise cheekhti hai ?
Pyaar kaise hota hai ?
Quun samundar ki pyaas bujhti hi nahin ?
Quun mera aks mujhse bhi, bolta nahin ?
Ye chandni quun ruuth jati hai ?
Rag-e-hayaat tod kr..
Ye pattiyan kis se milne jati hain ?
'Khushi' kis ko kehte hain ?
Aur haan,
Pyaar kaise hota hai ??
Ye pyaar kaise hota hai ???
Rag-e-hayaat - life line (here the trees)
बस कुछ इधर उधर की बात…
मैंने क़रीब से, बहुत क़रीब से सूरज देखा है..
यूँ ही नहीं, वो तो मंज़िल की जतन में जलता है..
मैंने बादलों में बस कर देखा है..
वो तो अश्क़-ए-बहर को चुनता है..
अश्क़-ए-बहर - सागर के आँसू
मैंने चांद पे चल कर देखा है..
कभी मुकम्मल कभी अधुरा सा जो दिखता है,
सच पे पर्दा करता.. प्यारा सा इक धोका है..
मैने हवा के संग बह कर देखा है..
कभी क़हर, कभी मेहर सी जो लगती है,
वो लम्स इश्क़ का लेकर चलती है..
मैंने दिन को ढलते देखा है
मैंने रात को चढ़ते देखा है..
थकी थकी सी सुभः .. शाम में क़रार पाती है
मतरूका शब को सहर गले लगाती है..
किसी बाग़ से गुज़री नहीं मैं..
फूल कब, कैसे, क्यूं..
नहीं, बताओ मुझे, लोग, फूल क्युं कुचलते हैं ?
दोस्ती से दूर, बहुत दूर रही हूं मैं..
बताओ मुझे, दोस्त क्युं बिछड़ते हैं ?
किसी छोर तक, पंहुची नहीं मैं..
ये राहें कहां को जाती हैं ?
रिश्ते क्यों बदलते हैं ?
वादे क्यों तूटते हैं ?
ख़ुशबू क्यों बिखरती है ?
ख़ामोशी कैसे चीखती है ?
प्यार कैसे होता है ?
क्यों समुंदर की प्यास बुझती ही नहीं ?
क्यों मेरा अक्स मुझसे भी.. बोलता नहीं ?
ये चांदनी क्यों रुठ जाति है ?
रग-ए-हयात तोड़ कर..
ये पत्तियां किस से मिलने जातीं हैं ?
'ख़ुशी' किस को कहते हैं ?
और हाँ,
प्यार कैसे होता है ??
ये प्यार कैसे होता है ???
By Tahrim Fatima

Comments