Ishq-E-Aazaad
Updated: Dec 3, 2022
By Akansha Goyal
Woh ishq jaat-paat, ling ka mohtaaj nahi,
Jiska prateek indr dhanush hai, taj nahi.
Khulkar saamne aane na de ye kaisa samaaj hai,
Jaago, ye unneesvi sadi nahi, ikkeesvi ka aaj hai.
Apne vichaar yahaan sabko baantne hain,
Ye woh khairaat hai jo chubhte jaise koi kaante hain.
Aur koi nahi, log ye wahi hai,
Daawa hai jinka ki soch hamaari nayi hai.
Kaaydon aur niyamon ke bharose kabhi pyaar nahi hota,
Ye woh dariya hai jisme koodkar har koi paar nahi hota.
Aur hai kaun woh jo niyam banaata hai,
Saath kiske rahein ye batlaata hai?
Ye ishq hai janaab, rab ko hai maanta,
Jaat-paat chhoro, ling bhi nahi jaanta.
By Akansha Goyal

Comments