Imaginary Love
Updated: Jul 16, 2025
By Krisha Kaushal Dave
Tu sitara meri aakhon ka,
Itna masoom tu kaise,
Lagta hai yeh sirf asar iss jaam ka.
Tu koi haqiqat ya koi khwaab hai mera
Ya voh har ek sawaal ka koi jawab hai mera,
Ya toh koi mukaam hai mera,
Fir yaad aata ki tu asar sirf yeh jaam ka.
Kyu aakhen kholu toh tu dikhe nahi
Mulaakaate bas un khayalo mai kahi,
Kyun rehta hai maan sirf ab bechain sa,
Isliye shayad naam baadnaam iss jam ka.
By Krisha Kaushal Dave

Comments