top of page

Guftgu-e- ishq

By Raunak Bhardwaj


Jo baraste rahe itne ashq in aankhon se .....begunaah in aankhon ki khata kya thi ??


Jo dikhti thi tere chehre m .....Khuda jaane woh kahkashan kya thi ??





Wo tera baithe rehna mere intezaar m ....mushtaqi nahi to wo ada kya thi ??


Badi muddat k baad aaye the , thoda ruk jaate ...is se zyada aur meri iltaja kya thi ??


Sach btana …ishq to tmhein b tha na ?

phir har baar mukar jaane ki aakhir wajah kya thi…?



By Raunak Bhardwaj




Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page