Ghussa Ek Jazba
By Kausar Sultana (Majnooni)
Ghussa ek ajeeb jazba hay
Maili si chaadar oddhe rehta hay.
Daagh yunhi nahi mittaae ja sakte
Chaadar uski yunhi nahi utthaa sakte.
Woh mail nahi hay
Woh puraana zaqhm hay.
Woh daagh nahi hay
Kuch gehre ghaav ke nishaan hain.
Ghussa ek ajeeb jazba hay
Maili si chaadar oddhe rehta hay.
Siskiyon ki ghuttan bandh hay ussmein
Ashqon ko poch..pochkar chhupaaya hay ussne.
Dukh ki taddap, sawaalon ki chaadar hay yeh
Sukoon ki talaash, jawaabon ki bhook hay issmein.
Ghussa ek ajeeb jazba hay
Maili si chaadar oddhe rehta hay.
Kya karun iss chaadar ka main
Jism par chamddi jaisa lagta hay
Utaarun tho ghaav zinda hojaata hay
Oddhun tho ghaav ubalta rehta hay.
Utaar doon ke ghaav par marhaam tho lagaaun
Lekin khudko nanga karne ki himmat kahan se laaun.
Pehene rakhun tho rishton ke beech parda banaati hay
Apne dhhabbon ka ilzaam doosre par daalti hay.
Ghussa ek ajeeb jazba hay
Maili si chaadar oddhe rehta hay.
By Kausar Sultana (Majnooni)

Comments