top of page

Ganga

Updated: Aug 28

By Neeta Agarwal Doshi



Ram teri ganga maili ho gayi

Papiyon ke paap dhote dhote

Bas!

Bas kar insaan

Kab Tak?

Bol kab tak?

Kab tak karega paap tu itna

Kab tak maila karega mera seena

Kyun nahin tu seekh leta dhang se jeena?

Kyun meri takleef karte ho andekha aur ansuna?

Bol kyun?

Kyun karte ho galat aachcar-vichaar?

Kyun nahin apnaate saaralta aur sadachar?

Kyun deviyon ko poojte ho par ghar ki betiyon ka nahin karte sammaan?

Kyun karte ho jaat-paat ka bhed bhav aur gareebon ka apmaan?

Kyun bhogte ho vilasita?

Kyun nahin poojte apne maata-pita?

Kyun nahin niswaarth bhav se karte seva?

Kyun karte ho aasha ki milega meva?

Kyun nahin parishram karte?

Kyun nahin saaf-safai rakhte?

Kyun nahin darshate maanavta?

Kyun nahin dharti ki karte Raksha?

Kyun phailate ho itna pradushan?

Kyun karte ho praakritik sansaadhanon ka shoshsan?

Yeh saare paap kar chal parte ho char dham ki yatra par

Bhare paap ke ghade ko mujhmein khali dete ho kar

Kaise is vishwas mein jee lete ho

Meri aad mein paap ka ghada bharte rehte ho?


Mujhmein laga kar dubki

Sochte ho ki paap dhul jayenge

Anhkhein band kar aur saadh kar chuppi

Aasha karte ho ki parmatma mil jayenge?

Ae moorakh insaan

Khol apni aankhein

Dekh apne aas paas

Sachai ki raah par chal

na pakad jhooth ki ungli

khud par vishwas rakh

karte reh neki

jhakh maar kar Ishwar bhi aayenge teri gali

Sirf shareer ko nahin antarman ko jab tu dhoyega

Tab kahin jaakar anant-aanand praapt kar paayega

mujhse ab aur ummeed na rakh,

sadiyon se tere paap dhote dhote ho gayi hoon main maili

ab mujhe khul kar jeene de, na khel mujh sang apne paap ki holi

chalne de mujhe nirantar, karne de athkheliyan

kabhi unmukt si to kabhi bojhoon paheliyaan

behne de mujhe kal-kal

kheton mein lehlehane de mujhe fasal

nahin chahiye mujhe yeh deeye baati

nahin chaahiye mujhe saanjh ki aarti

mujh par na daal apne paapon ka bojh

kahin aur jaakar apne antaratma ki shanti khoj

behna mera kaam hai

na kar band mujhe botlo mein

mujhe bas yunhi rehne de

mujhe bas yunhi behne de

na kar mjuhe aur malin

tere paapon ke bojh se ho gayi hoon udaasin

main to bas is ummeed par hoon jeevit

ki kabhi to band hogi teri manmani

ki kabhi to nirmal aur meetha hoga mera bhi pani!

Main ganga hoon

Mujhe bas behne de!


हरिपदपाद्यतरङ्गिणि गङ्गे हिमविधुमुक्ताधवलतरङ्गे । दूरीकुरु मम दुष्कृतिभारं कुरु कृपया भवसागरपारम् ॥3॥

अर्थ – हे गंगे ! तुम श्रीहरि के चरणों की चरणोदकमयी नदी हो, हे देवि ! तुम्हारी तरंगें हिम, चन्द्रमा और मोती की भाँति श्वेत हैं, तुम मेरे पापों का भार दूर कर दो और कृपा करके मुझे भवसागर के पार उतारो।

Ganga

Ram teri ganga maili ho gayi

Papiyon ke paap dhote dhote

Bas!

Bas kar insaan

Kab Tak?

Bol kab tak?

Kab tak karega paap tu itna

Kab tak maila karega mera seena

Kyun nahin u seekh leta dhang se jeena?

Kyun meri takleef karte ho andekha aur ansuna?

Bolo kyun?

Kyun karte ho galat aachcar-vichaar?

Kyun nahin apnaate saaralta aur sadachar?

Kyun deviyon ko poojte ho par ghar ki betiyon ka nahin karte sammaan?

Kyun karte ho jaat-paat ka bhed bhav aur gareebon ka apmaan?

Kyun bhogte ho vilasita?

Kyun nahin poojte apne maata-pita?

Kyun nahin niswaarth bhav se karte seva?

Kyun karte ho aasha ki milega meva?

Kyun nahin parishram karte?

Kyun nahin saaf-safai rakhte?

Kyun nahin darshate maanavta?

Kyun nahin dharti ki karte Raksha?

Kyun phailate ho itna pradushan?

Kyun karte ho praakritik sansaadhanon ka shoshsan?

Yeh saare paap kar chal parte ho char dham ki yatra par

Bhare paap ke ghade ko mujhmein khali dete ho kar

Kaise is vishwas mein jee lete ho

Meri aad mein paap ka ghada bharte rehte ho?


Mujhmein laga kar dubki

Sochte ho ki paap dhul jayenge

Anhkhein band kar aur saadh kar chuppi

Aasha karte ho ki parmatma mil jayenge?

Ae moorakh insaan

Khol apni aankhein

Dekh apne aas paas

Sachai ki raah par chal

na pakad jhooth ki ungli

khud par vishwas rakh

karte reh neki

jhakh maar kar Ishwar bhi aayenge teri gali

mujhse ummeed na rakh, sadiyon se paap dhote dhote ho gayi hoon main maili

ab mujhe saans lene do

main to jal ki dhara hoon

mujhe bas behne do

chalti hoon main nirantar, karti athkheliyan

kabhi unmukt si to kabhi bojhoon paheliyaan

main nishchal aur nirjeev jal hoon

par swabhav se behad Chanchal hoon

behne de mujhe kal-kal

kheton mein lehlehane de mujhe phasal

nahin chahiye mujhe yeh deeye baati

nahin chaahiye mujhe saanjh ki aarti

mujh par na daal apne paapon ka bojh

kahin aur jaakar apne antaratma ki shanti ka hal khoj

behna mera kaam hai

na kar band mujhe botlo mein

mujhe bas yunhi rehne do

mujhe bas yunhi behne do

na karo mjuhe aur malin

meri chuppi se yeh mat samajh ki main hoon shaktiheen

main to bas is ummed par hoon jeevit

ki kabhi to mera bhi dard samjhega

bin bole mera dukjh samjhega

ki kabhi to band hogi teri manmani

ki kabhi to paap mukt aur meetha hoga mera bhi pani!




हरिपदपाद्यतरङ्गिणि गङ्गे हिमविधुमुक्ताधवलतरङ्गे । दूरीकुरु मम दुष्कृतिभारं कुरु कृपया भवसागरपारम् ॥3॥

अर्थ – हे गंगे ! तुम श्रीहरि के चरणों की चरणोदकमयी नदी हो, हे देवि ! तुम्हारी तरंगें हिम, चन्द्रमा और मोती की भाँति श्वेत हैं, तुम मेरे पापों का भार दूर कर दो और कृपा करके मुझे भवसागर के पार उतारो।


By Neeta Agarwal Doshi






Recent Posts

See All
Mirrored Truth

By Rufaida Manzoor I stood beside the silent lake, With eyes that felt no urge to break. My hair fell low in shadows deep, The waters...

 
 
 
My Antidote

By Anveeksha Reddy You fill my books with your ink, seeping into the pages bright and brilliant  The words etched into the cracks of it,...

 
 
 
Avarice

By Anveeksha Reddy You tear my skin and pick on my bones    I label it as gluttony for you  Churning and shattering the remains of my...

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page