- hashtagkalakar
Ek prayash
By Kaushal kishor
Itni jaldi haar kyon, ek baar punah jee kar toh dekho.
Sambhaw hai tumhe jo bhi kasht mile aswabhawik the.
Ek baar shiv saman sansarik vis pee kar toh dekho.
Krishn bhagwan the, kyon na sansar ki soch badal dete.
Yodhao ko nirbal aur sampurn sansar ko sambal dete.
Ek baar unki tarah Abhimanyu ko khokar toh dekho.
Swayam ke liye nahi sampurn sansar ke liye rokar toh dekho.
Kya nahi hai pane ko! Jeevan hai, prem hai, dhara hai, vyom hai.
Aatma ko ishwar se sakshat karata hamare andar ka om hai.
Mrityu toh darati hai, hai aatmbal agar jeekar toh dekho.
Ek baar shiv saman sansarik vis pikar toh dekho.
Jo Parishrami hai wahi thakta hai, chalta hai wahi rukta hai.
Toh kya koi chalna chhor de, ya Sankato se ladna chhor de.
Kya hua hatheli nahi toh kya bhagya toh hai
Mana ki lalat me daag hai toh kya saubhagya toh hai
kamiyan sunya ho jayegi, vyarth chinta se nikalkar toh dekho
Ek baar shiv saman sansarik vis pikar toh dekho.
By Kaushal kishor