By Monika
Ek maa thi meri jo hasa krti thi
Jaan uski mujhme bsa krti thi
Naa koi gussa na narajgi jatati thi
Hrr gumm mein wo khulkr muskurati thi
Bado ki seva bacho ka khayal tha usey
Apne praye sbka maan tha usey
Drd usne kmm na sahe thi
Pr mjaal h jo kisi se b kahe the
Na shikayat na kisi se gila kiya
Sbko apna maan dill mila liya
Is jivan me usne koi sukh na dekha
Chehre pr uske kabhi dukh na dekha
Kisi insan se na sahi prr halato se wo ladi thi
Harr toofan me bhi datt kr akeli khadi thi
Na kismat ko kosa kabhi na upr wale pr iljaam diya
Haste muskurate sbb karmon pr taal diya
Kisi se koi chahat na farmaish rkhi
Dusro ki khwahish puri krne me kbhi hadd na parkhi
Kisi jung me tou na haari thi
Prr bimari ne usey baitha diya
Ek hsti hui jingagi ko
Apne bhoj tale daba diya
Kisi se umiid na krne wali
Aaj chlne ko bhi unki mohtaaj hui
Jiske hatho ne sbko the parose
Aaj khud k niwale ko hui dusro k bharose
Maa abb hasti nhin hai
Uski jaan bhi mujhme itni basti nahi hai
Meri maa aaj mere liye bacchi hai
Hsti roti jidd ki abb pakki hai
Jis muskan ko andhi toofan na mita paye
Aaj kaya k dukh ne rula diya
Kya thi wo phle aaj khudko hi bhula diya
Abb is ghar me phle sa sukoon ka basera na hota
Dukho ka nash hone wala koi dushera ha hota
Jasa maa ne smbhala hai koi kaha kr payga
Jinda tou rhega prr jii nhi payga
Yaad aati hai muje meri maa
Jisey waqt ne kahin chhupa diya
Uss pyaar uss dulaar ko taras rhe hain
Dikhta hi nhi suraj bs badal hi baras rhe hain
Koi hall ho iss uljhan ka tou khuda bata de mujhe
Lauta mujhe meri hasti hui maa chahe bdle me koi b saja de mujhe.
By Monika
Comments