Ehmiyat Bachpan Ki
Updated: Aug 2, 2025
By Shubham Jaiman
Waqt badalta hai, mann ki iccha sapno ko bada banati hai…
Fir daud mein langdati zindagi, bachpan yaad dila jaati hai…
Roti bhi cheeni ke saath swaad lag jaati thi…
Khel kood mein shaam har roz jaldi ho jaati thi…
Dhoop aur garmi, dhool aur mitti…
Kabhi sharbat, kabhi saada paani…
Kabhi bado ka gyaan,
Kabhi yaari mein bunti laakhon kahani…
Kabhi padhai ke saath padti maar bhi rula jaati thi…
Befikra, kal ki chinta kare bina,
Agle din fir cycle par nikal padti thi doston ki savaari…
Gear waali cycle sapna banke reh jaati thi…
Par paanv tika tika kar cycle ghumane ki haqeeqat sabko raas aa jaati thi…
Bachpan ke hi wo din they,
Zindagi araam se katt jaati thi…
Iccha aur sapno ka silsila toh kabhi thama nahi,
Zamane ki haqeeqat aaj bhi bachpan ki yaad dila jaati hai…
By Shubham Jaiman

Comments