By Jal Naik
Sochti hu ki mere tumse dur jaane par tumne mujhse ek aakhri baar milne ki khwahish kyu jatayi thi?
Sab khatam ho jaane ke baad bhi kyun ek aakhri mulakat ki khwahish zaya kari?
Sochti hu ki duri banayi thi tumne tab mujhse na ek sawal pucha, na zikr kiya kisi baat ka
Sab khatam ho jaane ke baad bhi humare tasveeron ko kyu sawaar ke rakha?
Kyu huyi takleef tumhe jab auron ne mujhe dukh pohchaya?
Kyu hua dard mehsoos tumhe jab mujhe chot aayi?
Puchna chahti hu tumse bas yahi baat
Ki khud duri banane ke baad bhi esa kya juda hai humare bich
Jo na tum jaa paa rhe ho aur na mei jaa saki
Itna pyaar kiya hi kyu tha agar hona tha tumhe yu judha
Khatam karni thi mujhe woh adhuri baatein, saath mei aadhi cup chai aur woh adhuri raatein
Karne the pure woh adhuri sapne jo aksar tumhare liye aur saath dekha karti thi
Shayad mere naseeb mein pehla pyaar likha hi na ho
Jaanti hu ki dobara kisi ke pyaar mai girna ab shayad hi mujhse hoga
Kyunki ab ye aankhein har insaan mei tumhe dhundna chahegi
Sab mei tum aur rab mei bhi tum dikhte ho
Shayad tum se fir mulakat ho
Is baar pyaar mei nahi
Dosti ke vaddein nibhaungi
Pyaar se tumse thoda dur hi shayad rehne sikh jaungi
Shayad mulakat ho tumse agle janam mei kahi
Dosti nibhayenge aur pyaar phir kabhi!
By Jal Naik
Comments