Dil Ki Baatein
Updated: Dec 2, 2022
By Priyamvada Sinha
Tumhe batana nahi aata,
Mujhe jatana nahi aata,
Kitni mohabbat karti hu tumse,
Yeh dikhana nahi aata
Main janti hu ki tumhe bhi mohabbat hai mujhse,
Kaash tumhe meri tarah chhupana nahi aata
Jab jab sochti hu tumhaare baare ,
toh beintaah mohabbat se aankhein bhar aati hai meri,
Magar un aansuon ka sahara lekar mujhe tumhe apna banana nahi aata
Chahti hu ki tum Jahan raho khush raho,
Aur koshish karti hu ki tumse kahin duurr chali jau,
Lekin tumse duurr jaane ka bahana nahi aata
Mujhe ache se maloom hai ki kya haalaat hai hamare,
Or isliye koshish karti hu ki khud ko hi rok loon,
Lekin kya karoon tumhare pyaar se khud ko bachana nahi aata
Har pal meri duaaon mein shaamil hote ho tum,
Bahut pyaar karti hoon tumse,
Magar mujhe tumhari tarah tumhe satana nahi aata
Sochti hu kabhi kabhi keh doon dil ki saari baaton ko,
Lekin darr lagta hai ki tum kahin rooth na jao mujhse,
Kyuki gar tum rooth gaye toh mujhe manana nahi aata
Dil ke haathon majboor hoon kyuki pyaar hai bahut tumse,
Lekin kya karoon mujhe pyaar
Dikhana nahi aata
Jatana bhi nahi aata
Bas yehi hai ki sirf pyaar chhupana aata hai
By Priyamvada Sinha

Comments