Delivery Boy
By Tania Mite
Shaayad saulah satrah baras ka hai wo ladka
peeli scooty mein pahad sa saamaan lade
Humari gali mein aksar aakar
Flipkart ki delivery karta hai wo ladka
Yun pooch liya humne unse ek din:
"Bhai, badi mehnat ka hai na ye kaam?"
Sir, OTP pin bataiye apna kehkar
baat hamari yun taal di wo ladka
Phir jaate jaate kehne laga wo:
"Sir, mehnat to hai par humko bhata ye kaam
roz ka mobile recharge mil jaata hai
phir girlfriend se batiya leta hun har shaam"
Yun kehkar wo muskuraya
do pasina pocha mathe ka
aur apni peeli scooty mein saaman lade
chala gaya wo ladka.
By Tania Mite

Comments