By Vivek Raj
Kya wajah hai ki log tujhe dekh kr mujhe dekhte h,
Kashmakash me hu tujhme mujhe ya mujhme tujhe dekhte h,
Ye alfazon se wo khelta rehta h jo,
Use pta nhi ki in alfazon me hi hm apna ghar dekhte h,
Tu is paar aa v jae agar to ab kya h,
Hm to bs ab dariyaon ka hi safar dekhte h,
Tumne chua tha ek roz gaal mere yun,
Hm tb se aayine me wahi krke nazar dekhte h,
Teri ek soch ki zindgi me kch galat na ho,
Meri tamanna ki ek dafe galat kr k dekhte h,
Bdi uljhi hui thi sari kadiyan us kahani ki,
Chalo ek baar use aur palat kr k dekhte h,
Ye kis samnt k h log aur kya chahte h,
Inke v zehen me q nhi ki masawat kr k dekhte h,
Mere darwaze pe mila h khat uske naam ka,
Laut aaya h kya wo, ye ummeed kr k dekhte h,
Dekho ye shayad akhiri baar ho jo baat ho rhi h,
Izazat ho to is akhiri ko barhan kr k dekhte h.
By Vivek Raj
Bahut hi khoobsurat ☺
Fabulous 🤩
👍
Keep it up
I would love to read new once..eagerly waiting for new post, good work keep it up