top of page

Deedar-E-Armaan

By Arpit Govil





Mere dil main ye Arman hai kuchh khayaal hai,

Yakeenan tere zehen me bhi shayad ye bawaal hai,

Mohabbat main jeena jaan-e-man bemisaal hai,

Teri doori Saawan me, yahi bas malaal hai,

Tere deedar ko ab arsa ho chala hai,

Nazro se jo cheere jigar, maahir tujhme kala hai,

Neendo se hai anban, akeli raatein khatakti,

Tujhe chhune to tadpe, meri aakhein barasti,

Seene se lagale mujhe ab to aaja,

Khud me tu chhupale mujhe ab tu aaja,

Tere labo se kampan mere labo ko pahunche,

Teri saanso ki garmi meri saanso ko pahunche,

Kuchh itna kareeb tujhe aa ab main lelun,

Tujhe baahon me bhar lun teri zulfo se khelun.

Pighlun main bhi tujhme jeele tu bhi mujhme,

Chingaari Milan ki bhadke thodi tujhme bhadke thodi mujhme.

Jhhok lun main kya khud ko, ruke tuna khud ko,

Tute tu bhi mujhme tutuon me bhi tujhme.

Chingaari Milan ki bhadke thodi tujhme bhadke thodi mujhme.


By Arpit Govil







Recent Posts

See All
Shayari-3

By Vaishali Bhadauriya वो हमसे कहते थे आपके बिना हम रह नहीं सकते और आज उन्हें हमारे साथ सांस लेने में भी तकलीफ़ होती...

 
 
 
Shayari-2

By Vaishali Bhadauriya उनके बिन रोते भी हैं खुदा मेरी हर दुआ में उनके कुछ सजदे भी हैं वो तो चले गए हमें हमारे हाल पर छोड़ कर पर आज भी...

 
 
 
Shayari-1

By Vaishali Bhadauriya इतना रंग तो कुदरत भी नहीं बदलता जितनी उसने अपनी फितरत बदल दी है भले ही वो बेवफा निकला हो पर उसने मेरी किस्मत बदल...

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page