Dear Men
Updated: Jul 29, 2025
By Akansha Goyal
Maa baap ki umeedon tale,
Biwi ki khwaishon mein dhale,
Bacchon ki zidd par chale,
Khud ke liye bhala kaise woh kuch kare?
Beta ho toh shravan jaisa, premi ekdum krishn jaisa,
Kaisi ye tulna hai, rehne do use uske jaisa.
Kisi ek ko khush kare toh dusra ruth jaaye,
Use manaaye toh teesre ki baari aajaaye,
Fir kaho woh kab ruthe aur use kaun manaaye?
Ghar sambhaale toh aurat kehlaaye,
Mohabbat mein kuch karde toh aashiq bann jaaye,
Doston se mile toh ayaash bann jaaye,
Baachon ki maane toh bigaadne ka khitaab mil jaaye,
Ab aisa kya kare jo uska apna wajood na kho jaaye?
Dard mein ro na sake,
Seene mein hi kahin chhupaake hain rakhe,
Ghaav toh uske bhi gehre hain,
Nishaano ki daastaan suno,
Saaf ekdum keh rahe hain.
Naa jaane kis mitti ka bana hai,
Kisi ko na kara kabhi manaa hai,
Sabki umeedon ka bhaar uss par hi pada hai,
Ghar mein apne bhale chhota ya bada hai.
Jitna kamaaye utna kam pad jaaye,
Kabhi iske sapne toh uske sapne,
Dusro ke liye hi bas jeeta chala jaaye,
Saans toh lene do use,
Taaki uske bhi sapno ki baari aa paaye,
Koi usse bhi kaho ki zara theher jaaye.
By Akansha Goyal

Comments