top of page
  • hashtagkalakar

Cup - Ek Door Sey Mulakaat

By Gagan Dhingra



Thought / Brief of Poem.

This poem is for a sister from brother side, whose sister is living in abroad and she comes to meet her brother once in 2-3 years and most of time brother and sister talk to each other while having their tea.


This year when sister came to meet her brother India from Canada, brother gave one “CUP” to her and said ki ab sey hum jab bhi chai piyengey issi cup mein peeyengey”


My poem name is

“CUP “

Ek Door Sey Mulakaat


Na Jaaney Phir Kab ho mulakaat,

Phir aamney saamney ho baat,

Ek baat tum Hamesha yaad rakhna,

Jab bhi ho door sey mulakaat,

Yeh CUP tumharey saath rakhna.


Chhey baat ho teri,

Chhey baat ho meri,

Iss CUP mein hai kai jaazbaat,

Iss baat ka tum khayal rakhna

Un jaazbaatoon ka tum ehsaas rakhna

Ek baat tum Hamesha yaad rakhna,

Jab bhi ho door sey mulakaat,

Yeh CUP tumharey saath rakhna.





My me time and your me time,

Iss time ki hamesha sambhal rakhna

Koi baat nahi, gar baat na ho teri meri,

Kutch baton ko hamney rakha hain yaadon mein,

Unn baaton ko hamesha yaad rakhna,

Unn yaadon sey jo muskaan aayegi chehrey pay teri,

Uss muskaan ko Hamesh barkarar rakhna

Ek baat tum hamesha yaad rakhna,

Jab bhi ho door sey mulakaat,

Yeh CUP tumharey saath rakhna.




Shyad kutch palo ko bhulna aacha hota hai,

Unn palo sey dil ko na pareshaan rakhna,

Jitna jald ho un palo ko dil sey nikaal rakhna,

Ek baat tum Hamesha yaad rakhna,

Jab bhi ho door sey mulakaat,

Yeh CUP tumharey saath rakhna.



Baat bhaley ho choti-moti, chaaheyin khaati, chaaheyin meethi,

Sirf pyar bhari baaton ko dil mein sambhal rakhna,

Koi baat nahi, gar mulakaat na ho chnd aur bhi saal,

Kisi kissey, kissi mulakaat to hamesha yaad rakhna,

Kuch baaton ko dil sey nikal

Chheyin baatein ho ek, chahey baatein ho char,

Dil ko Hamesh khushmizaaz rakhna,

Chehrey pey Khushi, aankho pay chamak, hoto pay muskaan rakhna,

Ek baat tum Hamesha yaad rakhna,

Jab bhi ho door sey mulakaat,

Yeh CUP tumharey saath rakhna.



Kutch baatein jo reh jaati hai dil mein kabhi kabhi,

Un baateon ko is cup ki chuskiyion kay saath mujhsey to hamraaz rakhna,

Gar dil dukkha hai kisi baat par,

To iss baat ko bhi hamesha yaad rakhna

Jab bhi ho baat teri meri, uss baat to hamesha saaf karna,

Jab bhi ho door sey mulakaat,

Yeh CUP tumharey saath rakhna.



Thank you


By Gagan Dhingra




306 views20 comments

Recent Posts

See All

By Ankita जिनको खुश रखने क लिए मर रहे है वो एक पल नहीं लगाएंगे भूलने में यादें और नाम भी घुल जायेंगे वक़्त के साथ और हम भटकते रहेंगे अपनी ही तलाश में, फिर मांगना एक और मौका ज़िंदगी का और फिर से भूल जाना

bottom of page