College Suhana
Updated: Sep 16, 2025
By Rishabh Kandari
Khwabon ki duniya thi,
sapnon ka zamana tha,
Bohot karibi dost they,
ghar jaisa yaarana tha.
kam paison me aiyyashi,
aur aawara gardi ka fasana tha.
Kaam dhaam kuch kiya nahi,
padhai ka jo bahana tha.
yaad aata hai kabhi kabhi,
ki yaar college bada suhana tha
By Rishabh Kandari

Comments