Chand Se Ishq Tak
By Arshad Mehta
Aaj fir chaand nikla hai in aasmaano me
Kya sharm nahi aati ise kisi maaino me
Fir ek baar aa gaya khaali haath liye
Mene kahaa thaa isse ki le aana mere pyaar ki charaago me liye Khud dekh aaya us dilkash chehre ki adaaye
Chamka baitha hai khud in sitaaro ki fizaayein
Koi pooche isse ki kaha se laaya ye noor wo khudka Tab me bataau , jaa dekh mere dilbar ka khoobsurat sa mukhda Jo kar deta hai chaand ko roshan
Woh hai mere dil ka ek pyaara sa aangan
Phoolo ko jiske sadke milti hai ye rangat
Kya soch paaoge uske aakhon ke kaajal ki barkat
Oh falsafi , Oh shayaro ki ye jamaat
Laao apne alfaaz , apne kalam ki tum ek nayi si saugaat Likh kar toh dikhaao mere mehboob ke baare me Kahi nazdeek bhi aao , toh luta du tum par ye poori me kaaynaat
By Arshad Mehta

Comments