Chad Har Parvat Ko
By Nitika Khulbe
Tu chad har uss parvat ko
Bana ek imarat ko
Itihass tera gawah dega
Syahi se jab rachega kaam tera
Tab tu apne jaise laakh ka junoon banega
Tu taalash khud ko
Raah apne aap dikh jaayegi
Pehchan apne aap ko
Duniya mein teri hi alag tasveer chap jaayegi
Tu insaan hai
Toh deni padegi agni pareekhsha tereko bhi
Tu nidar hai na
Toh gir na
Safal hona hai toh asalfta seh na
Musafir tu akela nhi hai
Tujhe jaise yaha kai hai
Ek darja paane hai har kio aaya
Lekin tu apne saath apna junoon laaya
Toh kyu gabrata tu
Jab voh tere saath hai
Kyu unn haalato ko dekhna
jab takdeer ka haath tere pass hai
Kyu unn haazaro ko dekhna
Jab tera aks tere andar hi mujood hai
Toh kyu doondhta parakh tu
Jab tu khud mein ujala hai
Nishay kar apni manzil ka
Prayas toh kar tu
Aaj nhi toh kal
Tu apne khawabo ka mahel sajayega
Uss uche parchat ko bhi paar kar jaayega
Yaad kar ,
Unn dabmagye raasto se tu apni raah mein chala aaya na
Dekh tera hoosla tereko kaha le aaya na
Janti hu iss safar mein tu kuch seekhega , kai baar girega , saawalo ka aatakh hoga , sapna kai baar nasht hota bhi dilkhega
Lekin jis din tu inn sab ko pacharr kar aage badhega
Kaamyabi ka darwaja tere liye zaroor khulega
Yeh phal teeko bahut meetha milega
Ek din tera bhi apna naam hoga
Tu bhi khushi ka haqdaar hoga
Apni junnon aur mehnat se
Tu apni jeet ka shor machayega
Ab tu har ek parvat ko badi aasani se paar kar jaayega
Tu jo mehnat ki reet samjh jaayega
Apna khud ka ek ghar tu uss shehr mein banayega …
By Nitika Khulbe

Comments