By Farhaad Hussain Ayubi
Ab to har pal har lamha ye dil bahut ghabrata hai,
Jab ek insaan dusre insaan ke liye kuch nahi kar pata hai…
Na jaane kiyu khushiyaan lene ye waba aayi hai,
Khush to bahut hoga wo jisne bhi is duniya ko nazar lagayi hai…
Ek taraf taqleefein hain, dusri taraf tanhai hai,
Jab bhi phone par ek insaan ne dusre insaan ki maut ki khabar sunayi hai…
Haalat ye hai ke kaato to khoon nahi nikal pata hai,
Jab bhi ek kunba ka koi apna guzar jata hai…
Kamaya paisa zindagi bhar, ab to wo bhi kaam na aata hai,
Jab ek insaan ka hath ye muft hawa hi chor jata hai…
Kal tak dekha hai khilkhilate haste hue ek khandaan ko,
Chand waqt guzarne par dekha hai chaar kandho par jaatey hue kabristaan ko…
Yaad karta huu har dua mein us Rehmaan ko,
Ab to baksh de, hum saare insaan ko…
Gaafil tha main, ab rishton ka ahemiyat samajh aata hai,
Jab in aankhon ke saamne, har dusre ghar ka koi apna inteqaal kar jaata hai…
Guzarish hai ke ab to na karna Hindu, Sikh, Isaai or musalman,
Gar chahye ho kis ko madad, to na maangna unse unki pehchaan…
Insaan hai hum, insaaniyat hi hai humara imaan,
Madad karna hai sabki, chahe apna ho ya ho koi anjaan…
By Farhaad Hussain Ayubi
Comments