Bhookh
- Hashtag Kalakar
- Dec 29, 2022
- 1 min read
By Saurav Kumar Jha
Logon ko agar bhuk hoti khane ki aur pani se hi mit jati har pyaas toh kya baat thi,
Agar pyar se hi bhar jata pet aur bahon me unki beetti meri har sham toh kya baat thi,
Agar paiso se hi khareed lete saara sukoon aur khareed lete unka bepanah saath toh kya baat thi,
Agar sochne se hi ho jati ye shama rangeen aur unki muskan se hi saj jaati ye Qaynat toh kya baat thi
Chalte chalte yuhi saath chhuth jana koi nayi baat toh nahi,
Aur yu tera ruth kar mujhse muh fulana koi nayi baat toh nahi,
Maana muskil hota hai dekh tamashe zindagi ke man hi man muskurana,
Magar mera yu dar dar ki thokarein khana koi nayi baat toh nahi.
By Saurav Kumar Jha

Comments