Baki Hai
- Hashtag Kalakar
- Nov 7, 2022
- 1 min read
By Shantanu Sharma
Ruk jaa pal do pal ko aur
Ek baat abhi aur baaki hai
Badh gaye tum safar -e-zindagi mein
Ek zamana yahan abhi aur baaki hai
Rehte ho kahan tum aaj kal
Ek mulakat abhi aur baaki hai
Thehro zara kuch der ko aur tum
Ek shaam abhi aur baaki hai
Kabhi bhule se hi chale aao yahan
Ek daastan abhi aur baaki hai
Kitne ho gaye fanna tujpe, kya kuch malum
Ek aashiq magar tera yahan abhi aur baaki hai.
By Shantanu Sharma

Comments