top of page
  • hashtagkalakar

Bahot Kam The

Updated: Sep 20, 2022

By Shreyas Shinde


Suna ye ki uss gali mein chor bahot the

Khabar ye ki wo khubsurat bahot the

Unhi mese jisne churaya tha mera dil

Malum hua uspe chori ke ilzam bahot the


Usse rubaru hoke range haat pakadne gaya magar

Us kambakhat ke pass bachneke tarike bahot the





Apni amanat hasil karne ka thaan liya tha maine

Majburi mein uski har baat ko maan liya tha maine

Chupkese uski khoon bhari almari mein jhaka

Usme mere alawa aur bhi lapata dil bahot the


Ye samajhte hi mujhe khatre ka andaza hua

Mere zehen mein ulze sawaal bahot the

Apna dil wahipe chod kar bhaag aya kya karta

Mera kuch chori karne wale bhi kaha bahot the…


By Shreyas Shinde




1 view0 comments

Recent Posts

See All

By Ankita जिनको खुश रखने क लिए मर रहे है वो एक पल नहीं लगाएंगे भूलने में यादें और नाम भी घुल जायेंगे वक़्त के साथ और हम भटकते रहेंगे अपनी ही तलाश में, फिर मांगना एक और मौका ज़िंदगी का और फिर से भूल जाना

By Gagan Dhingra Thought / Brief of Poem. This poem is for a sister from brother side, whose sister is living in abroad and she comes to meet her brother once in 2-3 years and most of time brother and

bottom of page