Badhna Toh Hai Hi Ek Din...
By Doyir Riram
Jald badhne ki chaah kyun ?
Itni si hokar, itna kuch paane ki aah kyun ?
Abhi zindagi ji hi kitni hai tumne
Theek se chalna seekha bhi kitna hai tumne.
Bas chaar dino ka bachpan hai
Seekho pehle jeena ise
Badhna toh hai hi ek din.
Pakad na paongi hamesha haath tera
Rehega na saath maat-pita ka sada
Nivale pe nivala khud hi ko khilaoge
Loreeya bhi raaton ko sunn na paoge
Jab tum jald badhe ho jaoge
Godh ko hamare taras jaoge.
Chalegi na manmani teri
Na chalegi shaitaaniya
Khwahishiyon ke mehlo ko bhi
Khud deewar uthana parega
Agar utha na paaye bhi toh akele
Dilase mai peeth thap-thapana parega.
Aati hai khathinaiyaa kabhi
Kabhi aati hai nirasha
Leti pariksha kadam-kadam par
Yehi jiwan ki gaatha
Din hoga tera bhi aisa
Jaha deni paregi pariksha.
Bas chaar dino ka bachpan hai
Seekho pehle jeena ise
Badhna toh hai hi ek din.
By Doyir Riram

Comments