Aye Zindaji , Tera Aaj Kya Mizaaj Hai
By Arshad Mehta
Aye Zindagi , tera aaj kya mizaaj hai ?
Muskuraahato ka bhi ek ajab sa sawaal hai
Chehre par khushi na jaane dil kyu behaal hai
Raato ko tapakte aasuo se koi pooche is gumgeen dil ko na jaane kya malaal hai Daaman me har khushi hone par bhi zehen me ye kya bawaal hai
Har subah uthte apne kaam ka waqt guzaarte hue
Koi sochta hoga ki is duniya me kya filhaal hai
Kya chauraahe par baithe us boodhe se koi poochega ki ye hulchul me sukoon ka kya haal hai Din guzaare jaa rhe toh hai beshaq magar ye jeene ka kya kamaal hai
Me sochta hu hi ki aye zindagi , ab aane waale dino me kya zawaal hai
Ki fal ki aaya ek aakhri din , kis kali ka ek naya gulaab hai
Ek aur hui hai maut jahaan me , Ek aur bacche ki kilkariyo ki awaaz hai Dono jaanib hai rone ki awaazein , awaazo me fark ka bhi ek andaaz hai Kisi ko neend ka bistar bulaata hai aur kisi ki aankhein sadiyo se bedaar hai Aye zindagi tu hi bata , aaj tera kya mizaaj hai
By Arshad Mehta

Comments