- hashtagkalakar
Aur Phir wo Chala Gaya
By Tanuj Saigal
Aur phir wo chala gya,
Yun to kai logo ko jate dekha maine
Par uska jana jaise meri kisi kitab ka kho jana,
Jise khone ka Sochne se bhi dar lgta ho,
Jisko har raat takiye ke sirhane lekar soti hu,
Aise kitab ka kahi gum ho jana,
Uska jana jaise mere kisi kitab ka kho jana.
Khair wo chala gaya,
Uska jana jaise barish k baad achanak se badal ki jagah dhoop aana,
Uska mujhse alag hona,
Jaise badal se barsat alag ho jana.
Haan par, Badal bhi mausam ke baad chala jata hai,
Aur Wo bhi chala gaya.
Uska jana jaise pedo ke patte murjha jana,
Aur dheere dheere un patto ka shakhon se alag ho jana,
Jaise Har sookha patta ped se alag ho jata
Kuch aise hi uska jana
Milne ki umid rakhu ya nahi,
Kuch nahi kah gaya
Aur fir wo chala gaya
Usi tarah jaise hamesha jata hai
Woh phir chala gya..
By Tanuj Saigal